Thursday, March 3, 2011

When a hill is broken, then it is not only the rock that crumbles, the Social organization of the Adivasi Community are also disintegrates.

Tuesday, February 22, 2011

lekin yanha ke bhasha sanskriti ko bikshit karne ke disha me sarkar sochti bhi nahi hai..

jharkhand Alag raj ki ladai na sirph 24 jilon ke rajya punargatha ke liye tha..Balki jharkhand ke Adivasi mulvasi samaj ki Bhasha-Sanskriti, inke phachan ko Bikshit our sangrakchhit karne ki ladai thi. lekin Dukhad baat yah hai ki Jharkhand alag Rajya bane 10 Sal ho gaya. lekin jharkhandi Bahsha Sanstri ke Bikash ke disha me Rajya sarkar ek kadam bhi aage nahi badha.. na hi koi pahal hi kiya. das sal me jo bhi sarkar sata me baithi..sirph Janta ka paise lut kar apne liye krodon sampati banane ka kam kiye. sarkar sirph wahi kam kiya..jisse unka kamai ho. Yahi karan hai ki das sal me sarkar ne sirph bade bade punjipatioyon ko jharkhand me asthapit karne our unko bikshit karne ke hi disha me kam kiya. in das sal me 101 punjipatiyon ke sath MOU sing kiya. is MOU ke Aadhar par Rajya ka khanij, pani, jamin, jangal, pahad, khet, tand sabhi ko udiyogpatiyon ko munapha kamane ke liye sounp dega. lekin yanha ke bhasha sanskriti ko bikshit karne ke disha me sarkar sochti bhi nahi hai..ulte adivasiyon ko apne hi jangal-jamin se ukhad phenkne ke liye har hathkanda apna rahi hai..

अब सहेजें

Adivasi Samaj ko bhi Jal-Jangal-Jamin se alag karte hi swata samapat ho jayega.

Sen ge Sushun kaji ge Duran..Baat hi git -sangit our chalna hi nritiya hai. Jab tak Adivasi Samuh me Nachte Gate Rahenge..is Samaj ke Samuhik takat Bani rahegi..Our Yah Tabhi sambhaw hai Jab Tak Adivasi Samaj Jal-Jangal-Jamin ke Sath Juda huwa hai. Is Samaj ki bhsha sanskriti. Etihash..Arthbewastha Prakriti ke sath Juda huwa hai..Jis Tarah Bachhli ko Pani se Nikalte hi mar jati hai..Isi tarah Adivasi Samaj ko bhi Jal-Jangal-Jamin se alag karte hi swata samapat ho jayega.

Sunday, January 30, 2011

global warming ke liye koun jimmewar hai?


global warming ke liye koun jimmewar hai?

AAP JIN CHIDIYON KO AKASH ME UDHTE DEKH RAHE HAIN..YE THANDHAK -COLD AREA KI TALASH ME JHARKHAND KI RAJDHANI RANCHI KE KHAJUR TALAW ME PRAWASI BAN KAR EK MAH SE RAH RAHE HAIN..
aaj world me ek hi rona hai..ki global warming ko kaise roka jay? kaise kam kiya jiya. iske liye sabhi dekh mil kar sochne ki baat sabhi desh kar rahe hain. koi corban trading me sudhar ki wakalat kar rahe hain..to koi kuch our..India bhi apne ko biksit deshon ke barabar karne ke liye teje se aoudhiyogik bikas kar apna corban utsarjan ko our deshon ke barabar karne ti baat ki.

lekin global warming ko rokne wale nature -prakritik-paryavaran-jal-jamin ko sangrakshit- surakshit rakhne, biksit karne karne ke liye jo kadam uthana chahiye..nahi karna chahte hain. sabhi global warming ko taje se aage badhane wale bikas modal ko hi aage badhane me hi apne takat laga rahe hain..tab PRAYAWARAN KAISE BACHEGA ?AAJ PASHU-PAKCHI, JANWAR SABHI RAHNE KE LIYE JAGAH TALASHTE PHIR RAHE HAIN..KI UNHE KANHA RAHAT MILEGA..INDUSTRIALIZATION KE KARNA HAJANO JIW MANDAL NASHT HO CHUKE HAIN..HAJARON NASTH HONE KE KAGAR PAR HAIN...YAHI JIW MANDAL NATURE -PRAKRITI KO BALANCE KARKE RAKHA THA..